Raaste
Raaste na ho to bana liye jaatein hain, hum inssan hai,pahadon mein se bhi gujar jaatein hain..
Main
Jahan jaatin hun, wahan ki ho jaati hun.. mahual mein dhal jaati hun, khud ko paani sa paati hun.
Rang
Kabhi aasmaan ko choona chahti hun, to kabhi dharti mein gadh jana chahti hun,
Main ek naari hun, lehron ki tarah dol jaati hun, mujhse milo kisi din,
To jaano kitne rang hai mere.
Itraana
Rang aur roop ki daulat leke jo bhi aaya, wo itaraya,
Itraya, par kam hi hain woh,
jisne sawaara antar man ko.
Kitna itaraoge huzoor, ye to sab chale jana hai,
Jo bachega aur jo rahega, wahi to teri daulat hai..
Wahi rah jayega is jahaan mein, wahi tera khajana hai,
na itara is roop pe, ye to bus moh maya hai.
Shalini Kaushik